Tark E Rafayadain

TARK E RAFA YADAIN (YAANI NAMAZ MEIN PEHLI TAKBEER KE ALAAWA HAATHO KO NAHI UTHANA) SUNNAT HAI.

HADITH NO 1.

IMAM BUKHARI KE USTAADH MUHADDITH IBN ABI SHAIBA NE FARMAYA:

Hadith: “Hum se hadith bayan ki Waki ne unhone Sufyan se, unhone Aasim bin Kulaib se, unhone Abdur Rehman bin Aswad se, unhone Alqama se, unhone Abdullah Ibn Masood رضي الله تعالى عنه se unhone farmaya ki kya main tumko Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ki namaz padh kar na dikhaun. Phir unhone namaz padhi aur takbire tahrima ke alawa kahin pe rafa yadain nahi kiya.

● MUSNNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/213, HADITH NO 2441;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/199, HADITH NO 748;
● SUNAN NASAI, 2/182, HADITH NO 1026-1058;
● MUSANNAF ABDUR RAZZAQ,2/182, HADITH NO 2533;
● MUSNAD AHMED, 6/203, HADITH NO 3681;
● SUNAN E KUBRA – BAIHIQI, 2/112, HADITH NO 2531

AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KI KITAB “TARK E RAFA YADAIN” MEIN HUMNE HADITH E IBNE MASOOD رضي الله تعالى عنه . KI “23” SANAD DARJ KI HAI.

SHAYKH ALBANI (AHLE HADEES AALIM) KE NAZDEEK RAFA YADAIN NA KARNE KI HADITH SAHIH HAI AUR SUNAN E SUGRA – NASAI KI SANAD KO BHI SAHIH KAHA HAI.

HADITH IBNE MASOOD رضي الله تعالى عنه . KE BAARE MEIN IMAM TIRMIZI KA MAUQIF:
“Hadith Ibne Masood رضي الله تعالى عنه . Hadith e Hasan hai. Yahi (Rafa yadain Na karna) bohot se ahle Ilm Sahaba, Tabaieen, aur Sufyan Thawri wa Ahle Kufa ka mazhab hai. [SUNAN TIRMIZI]

KASEER MUTAQADIMEEN MUHADITHEEN WA FUQAHA NE HADITH E IBN E MASOOD رضي الله تعالى عنه . KO SAHIH/HASAN KAHA HAI.

1. Ebrahim Nakha’ie (wafat 95 h)
2. Yahya bin Saeed Qitaan (wafat 191-200 h)
3. Hammad bin Abi Suleman (wafat 120 h)
4. Imam Abu Hanifa (wafat 150 h)
5. Imam Abu Yusuf (wafat 186 h)
6. Ishaq bin Abi Israel (wafat 245 h)
7. Imam Tirmizi

RAFA YADAIN NA KARNE PAR KASRAT SE AHAADITH MAJOOD HAI IS LIYE AAP RESEARCH CENTRE KI KITAB MEIN MAZEED “27” AHAADITH TAFSEEL SE PADH SAKTE HAI.

NOTE: HUZOOR NABI E KAREEM صلى الله عليه وسلم NE NAMAZ MEIN RAFAYADAIN KIYA MAGAR AAP NE IS AMAL KO TARK KAR DIYA AUR PHIR AAP SIWAI PEHLI TAKBEER KE PURI NAMAZ MEIN RAFAYADAIN NAHI KARTE THE JO KASEER AHAADITH SE SABIT HAI. YAANI RAFA YADAIN KARNE AUR NA KARNE PAR SAHIH AHAADITH MAUJOOD HAI MAGAR JO HADITH RAFA YADAIN KARNE PAR DALALAT KARTI HAI WOH TAMAM AHAADITH MANSOOKH HO CHUKI KYUKI HUZOOR صلى الله عليه وسلمNE RAFAYADAIN KARNA TARK KAR DIYA JAISA KI HADITH SE SABIT HAI.

LEKIN IMAME SHAFAI KE NAZDIK RAFAYADAIN KARNE KI HADIS MANSUKH NAHI. RAFAYADAI KARNE AUR NA KARNE DONO TARAH KI HADISON PAR AIMMAYE MUHADDISIN O MUJTAHIDIN KA AMAL HAI ISLIYE KISI KO MULIFE SUNNAT O MUNKIRE HADIS KAHNA DURUST NAHI.

LEKIN AHLE HADEES WAHABI IS BAHANE SE APNE SIWA DUSRE MUSALMANO KO MUKHALIFE SUNNAT KAHTE HAI. ALLAH UNHE HIDAYAT DE.

RAFA YADAIN NA KARNE KI HADITH NO 2:

Hazrat Abu Hanifaرضي الله تعالى عنه . farmate hai ki Imam Shabi رضي الله تعالى عنه . ye farmate the ki maine Hazrat Bara bin Aazib رضي الله تعالى عنه . ko ye farmate huwe suna ki Rasulallah صلى الله عليه وسلم jab Namaz shuru karte the to dono haatho ko utha kar apne dono kaandho ke muqabil le jaate the aur Salam pherne tak dobara apne haatho ko NAHI uthate the.

● MUSNAD ABU NUAIM, PG 156;
● MUSNAD AHMED BIN HANBAL, 4/301;
● SUNAN NASAI, 2/195;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/281, HADITH 750;
● MUSANNAF IBN ABI SHAIBA, 1/264;
● MUSNAD ABI YA’ALA, 4/295, HADITH 1653

NOTE:
●SUNAN ABU DAWOOD KE HAASHIYE MEIN AHLE HADEES AALIM “SHAYKH ALBANI” NE IS HADITH KO “SAHIH” QARAAR DIYA AUR
●”AHMED SHAKIR” NE BHI HASHIYA TIRMIZI MEIN IS HADITH KO “SAHIH” LIKHA.
●NASAI KE HAASHIYA MEIN “SHAYKH ABU GAD’AA” NE IS HADITH KO “SAHIH” LIKHA.

Is Hadith se saaf Maloom ho gaya ki Rasulallah صلى الله عليه وسلم sirf takbeer e tehreema ke waqt dono haatho ko uthate the aur puri namaz mein phir kahin dono haatho ko nahi uthate the.

IS HADITH KI ISNAADI HASIYAT:

IS HADITH KE RAAWI A’ALA DARJE KE SIQAH, FAQIH, MUHADDITH, HAFIZ UL HADITH, AADIL WA KAAMIL HAAFIZE WALE THE. LIHAZA IS HADITH KI SANAD KE SAHIH HONE BALKI RAFA YADAIN KE SUBOOT WALI TAMAAM RIWAYAAT SE ZYADA SAHIH HONE MEIN SHAK NAHI.

● HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.

HUMNE ARC KI KITAB MEIN AUR “25” AHAADITH DARJ KI HAI. AAP HAMARI KITAB “TARK E RAFA YADAIN” KA MUTALA KARE.

AB HUM AAP KO KHULFA E RASHIDEEN KA AMAL DIKHATE HAI.

● HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE رضي الله تعالى عنه RAFAYADAIN NAHI KARTE THE.

“Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه  ke peeche Hazrat Abdullah Ibn Masood رضي الله تعالى عنه .ne namaz padhi to Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه . ne sirf Takbeer e Tehreemi ke waqt rafa yadain kiya.
[●SUNAN DAR QUTNI, PG 111, HADITH NO 1144]

IS HADITH KI SANAD PAR AITERAAZ:

Is hadith ki riwayat mein Muhammad bin Jabir tanha hai aur woh Zaeef hai.

AITERAAZ KA JAWAB:

Muhammad bin Jabir Sudooq hai. Unki riwayat Siqah raawiyo ke khilaaf nahi.

1. Unke baare mein IBN ADI ne kaha: Muhammad bin Jabir se akaabir Muhaditheen ne ahaadith riwayat ki hai. Agar Muhammad bin Jabir is martabe mein na hote to woh Muhaditheen un se riwayat na karte. Bawajood iske baaz logo ne unki baaz ahaadith ki mukhalifat ki hai aur un par kalaam kiya hai. Unki hadith likhi jaati hai.
● AL KAUKABUNAYYERAT LI IBNIL KAYYAAL, JILD 1, PG 495

2. IBN ABI HATIM ne kaha:
Mere walid Abu Hatim se Muhammad bin Jabir aur Ibn Lahiya ke baare mein pucha gaya to unhone kaha: Muhammad bin Jabir mere nazdeek Ibn Lahiya se zyadah Mehboob hai.
[●AL JARA WAT TADEEL: 7/219]

MUHAMMAD BIN JABIR KI YE RIWAYAT SIQAH RAAWIYO KE KHILAAF NA HONE KI WAJEH SE MAQBOOL HAI. ISKI TAEED MEIN MARFU WA MAUQOOF SAHIH AHAADITH HONE KI WAJEH SE YE HADITH “HASAN” KE DARJE MEIN HAI. LEKIN HAZRAT IBN MASOOD رضي الله تعالى عنه . KI RIWAYAT IMAM E AAZAM رضي الله تعالى عنه . KE NAZDEEK AALA DARJE KI SAHIH HAI. UNKI SANAD MEIN MUHAMMAD BIN JABIR MAUJOOD NAHI.

● HAZRAT UMAR رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.

HADITH:
Hazrat Ibn Masood رضي الله تعالى عنه . se riwayat hai farmaya ki maine Huzoor Nabi e Kareem صلى الله عليه وسلم, Hazrat Abu Bakr رضي الله تعالى عنه . , Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ke peeche namaz padhi to unhone sirf takbeer e iftetah (takbeer e tehreema) ke waqt dono haatho ko uthaya.
[● Daar Qutni, Jild 1, Pg 111, Hadith no 1144]

Hazrat Aswad رضي الله تعالى عنه . ka bayan hai ki maine Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ko dekha unhone pehli takbeer ke waqt haatho ko uthaya phir dobara nahi uthaya.
[● Sharahe Ma’aniul Aasaar lil Imam Tahawi, Kitab us Salaat, Baab al Takbeeraat]

IMAM TAHAWI NE ISKI YE SANAD ZIKR KI HAI:

“Hum se hadith bayan ki Hamani ne , unhone kaha hum se hadith bayan ki Yahya bin Adam ne, unhone Hasan bin Ayyash se woh Abdul Malik bin Abhar se, woh Zubair bin Adi se , woh Ebrahim se, woh Aswad se, unhone kaha ki maine Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه . ko dekha, Unhone takbeer ke waqt rafa yadain kiya phir (puri namaz mein) dobara rafa yadain nahi karte the.

IS HADITH KE BAARE MEIN IMAM TAHAWI NE FARMAYA: YE SAHIH HADITH HAI. (Sharahe Ma’ani al Aathaar, 1/227)

HAFIDH IBN HAJR ASQALANI NE FARMAYA: IS HADITH KE SAB RAAWI SIQAH HAI (Al Diraaya, 152)

ALLAMA IBN TURKAMANI NE LIKHA:
YE SANAD BHI SAHIH, SHART E MUSLIM PAR HAI. (Al Johar al Naqi, jild 2, pg 75)

AHLE HADEES KA AITERAAZ:

Shaykh Mubarakpuri ne ” Abkaar ul Minan” mein is hadith par ye aiteraaz kiya hai ki is hadith ki sanad mein “EBRAHIM NAKHAIE” Mudallis raawi hai aur unhone “AN” se riwayat ki hai aur mudallis ki riwayat “AN” ke saath maqbool nahi.

AITERAAZ KA JAWAB:

Gair Muqallideen Ahle Hadees , Hanafiyo par aiteraaz karte waqt josh mein hosh kho baith te hai. Mubarakpuri sahab ko aiteraaz karte waqt ye khayaal nahi raha ki “EBRAHIM NAKHAIE” SAHIH BUKHARI KE RAAWI HAI. BUKHARI MEIN UNSE 150 SE ZYADA AHAADITH “AN” KE SAATH MARWI HAI. Kya Ebrahim Nakhaie ki woh saari ahaadith Bukhari Sharif mein Zaeef hai? Agar nahi to Ebrahim Nakhaie ki ye riwayat “AN” ke saath zaeef kyu? Kya is liye ki is se Ahnaaf ka mauqif sabit hota hai?? JO TUMHARA JAWAB HOGA WAHI HAMARA JAWAB HOGA!

● HAZRAT ALI  رضي الله تعالى عنه . RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.

SAHIH HADITH:

Kulaib Jarmi رضي الله تعالى عنه .  jo Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه .  ke ashaab mein se the, unka bayaan ye hai ki Hazrat Ali sirf takbeere tehreema ke waqt haatho ko uthate the aur puri namaz mein kahin aisa nahi karte the.

Imam Muhammad رضي الله تعالى عنه .  ne farmaya:

Hume khabar di Abu bakr bin Abdullah Nehshali ne, unhone Aasim bin Kulaib al jarmi se, unhone apne walid se aur woh Hazrat Ali bin Abu Talib رضي الله تعالى عنه .  ke ashaab mein se the. Unhone kaha ki Hazrat Ali bin Abi Talib رضي الله تعالى عنه .  namaz shuru karte waqt pehli takbeer mein dono haath uthate the. Phir namaz ke kisi hisse mein Nahi uthate the.

[● MUWATTA IMAM MUHAMMAD, JILD 1, PG 184, BAAB 33, HADITH NO 109]

HUKM E HADITH: YE HADITH SAHIH HAI.

IMAM IBNE ABI SHAYBA ISKI RIWAYAT YU KI HAI:

“Aasim bin Kulaib al Jarmi apne walid se riwayat karte hai aur unke walid Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه .  ke ashaab mein se the. Unke walid ka bayan hai ki Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه .  sirf namaz shuru karte waqt dono haatho ko uthate the. Phir puri namaz mein kahi rafayadain nahi karte the.

[● MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/213, HADITH NO 2442]

IS HADITH KE TAMAAM RAAWI SAHIH BUKHARI WA MUSLIM KE HAI. LIHAZA ISKE SAHIH HONE MEIN WAHABI AHLE HADEES KO BHI KALAAM NAHI HONA CHAHIYE.

RAAWIYO KA HAAL:

1. WAQEE: Bukhari wa Muslim ke raawi hai.

2. ABU BAKR BIN ABDULLAH NEHSHALI: Sahih Muslim ke raawi hai. Unhe Imam Ahmed, Yahya bin Maeen, aur Ajali ne siqah kaha. Imam Zahbi ne kaha “Woh Hasan ul Hadith ,sudooq hai.”

3. AASIM BIN KULAIB:

ZAHBI ne kaha woh fazil wa aabid the.

IBNE MAEEN wagaira ne siqah kaha.

IBNE SAAD NE KAHA woh siqah qabile hujjat the.

ABU HATIM NE Swaaleh kaha

AHMED BIN HANBAL NE KAHA unki hadith mein koi aib nahi

ABU DAWOOD NE FARMAYA woh ahle koofa mein sab se afzal the.

Unse Imam Bukhari ne taaliqan aur Imam Muslim ne mausulan riwayat ki hai.

[● TEHZEEB UL KAMAAL FI ASMA O RIJAAL, 13/537]

4. KULAIB: Kulaib bin Shahab al Jarmi al Koofi. Inse Bukhari ne “Juz rafayadain” mein aur Abu Dawood ne sunan mein riwayat li hai.

ABU ZARAA WAGAIRA ne unhe siqah kaha hai

IBNE SAAD NE KAHA Hazrat Umar wa Ali se riwayat li hai. Woh siqah kaseerul hadih the. Maine dekha ki log unki hadith ko umdah samajhte the aur un se hujjat pakadte the. [● AL TABQAAT UL KUBRA: 6/176]

◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE UMAR رضي الله تعالى عنه  RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.

HADITH:

Musannaf Ibne Abi Shaiba , Hadith 2452 mein Hazrat Mujahid رضي الله تعالى عنه  se marwi hai ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه  takbeer e iftetah ke siwa namaz mein kahin Rafayadain nahi karte the.

Imam Tahawi (wafat: 321 h) ne farmaya ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه  ka rafayadain na karna is baat ki daleel hai ki unhone Rasulallah صلى الله عليه وسلم ko dekha tha ki Aap ne rafayadain tark farma diya tha. Lihaza ye uske mansookh hone ki daleel hai.

[● SHARAH MUSHKILUL AATHAAR, 10/35]

IMAM UL MUHADITHEEN IMAM TAHAWI NE APNI SANAD KE SAATH ZIKR KIYA:

“Hum se hadith bayan ki Ibne Abu Dawood ne, unhone kaha hum se hadith bayan ki Abu Bakr ibne Ayyash ne, unhone Hussain se, unhone Mujahid se, Mujahid ne kaha: Maine Ibne Umar رضي الله تعالى عنه  ke peeche namaz padhi, Aap sirf namaz ke takbeer e Aula mein rafayadain karte the.

[● SHARAH MAANI UL AATHAR, JILD 1, PG 163]

IBNE ABU DAWOOD KE SIWA IS SANAD KE SAB RAAWI SAHIH BUKHARI KE HAI.

AUR IBNE ABI DAWOOD KO IBNE HAJR ASQALANI NE HUFFAZ E HADITH MEIN SHUMAAR KIYA HAI. [● LISAAN UL MIZAAN, JILD 1, PG 276]

◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE ZUBAIR رضي الله تعالى عنه  KE NAZDEEK RAFA YADAIN KI AHAADITH MANSOOKH HAI.

SHAREEH BUKHARI, MUHADDITH WA FAQEEH ALLAMA BADRUDDIN AINI NE HAZRAT ABDULLAH IBNE ZUBAIR رضي الله تعالى عنه  KI YE RIWAYAT NAQL KI HAI:

“Hazrat Abdullah ibne Zubair رضي الله تعالى عنه  se riwayat hai ki unhone ek aadmi ko rukoo karte aur rukoo se uthte waqt rafayadain karte huwe dekha to us se farmaya ki Tum ye Na karo kyuki is cheez ko Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلمne kiya tha phir use Tark kar diya tha.”

[● UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 2, PG 7]

◆ HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS رضي الله تعالى عنه  RAFA YADAIN NAHI KARTE THE.

MUHADDITH IBNE ABI SHAIBA NE RIWAYAT ZIKR KI HAI:

“Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki sirf 7 jagaho mein haath buland kiye jaayege. Namaz Shuru karte waqt, Baitullah Sharif dekhte waqt, Safa wa Marwa par, Arafat mein, Muzdalifa mein aur Rami e Jamar ke waqt.”

[● MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/214, HADITH NO 2450]

◆ ASHRA E MUBASHARA RAFAYADAIN NAHI KARTE THE

ASHRA E MUBASHARA YAANI WOH 10 SAHABA E KIRAAM JINHE RASULALLAH صلى الله عليه وسلم NE DUNIYA HI MEIN JANNAT KI KHUSHKHABRI SUNA DI HAI WOH BHI NAMAZ MEIN SIRF TAKBEER E TEHREEMA KE WAQT RAFAYADAIN KARTE THE.

WOH 10 SAHABA E KIRAAM YE HAI:

1. Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه

2. Hazrat Umar Farooq رضي الله تعالى عنه

3. Hazrat Usman Gani رضي الله تعالى عنه

4. Hazrat Maula Ali رضي الله تعالى عنه

5. Hazrat Talha bin Ubaidullah رضي الله تعالى عنه

6. Hazrat Zubair bin Awaam رضي الله تعالى عنه

7. Hazrat Abdur Rahman bin Awf رضي الله تعالى عنه

8. Hazrat Saad bin Abi Waqas رضي الله تعالى عنه

9. Hazrat Saeed bin Zaid رضي الله تعالى عنه

10. Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah رضي الله تعالى عنه

SHAREH BUKHARI ALLAMA AINI NE FARMAYA:

“Jin 10 Hazraat ko Rasulallah صلى الله عليه وسلم ne Jannat ki khush khabri sunayi hai, woh Namaz mein sirf takbeere tehreema ke waqt haatho ko uthate the.

[● UMDATUL QARI 5/272]

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤

AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE ® – MUMBAI

Posted in Islamic Articles.