Yazeed Ke Fasiq Hone Ka Suboot Sahih Ahaadith Se

BY: MUHAQIQ E ASR MUFTI SHAYKH RAZA UL HAQ ASHRAFI (Senior Scholar – ARC Researchers Team)

Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Yazeed bin Muawiya ke zulm wa fisq ki khabar pehle hi de di thi. Chunaanche Imam Bukhari ne Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki ye Hadith zikr ki hai:

📗HADITH:

Hazrat Abu Hurraira رضي الله تعالى عنه ne farmaya: ” Maine Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko farmate huwe suna, Meri ummat ki halakat quraish ke kuch laundo ke haatho hogi (Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki ye riwayat sun kar) Marwan ne kaha: ‘Allah Ta’ala ki laanat hai un laundo par. Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ne farmaya: ‘Agar mein chahu to bayan kar sakta hu ki woh falaan ke bete aur falaan ke bete hai.
● SAHIH BUKHARI, HADITH 7058

🔸TAKHREEJ E HADITH:

Is Hadith ko Imam Abu Dawood Tayalsi (wafat 204) ne apni musnad mein, Ibn Hibban (wafat : 354 h) ne apni Sahih mein aur Muhlab (wafat: 435h ) ne Al Mukhtasar mein Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se takhreej ki hai.

🔸SHARAH HADITH:

Hadith Sharif mein Quraish ke jin kam aql logo ke haatho Ummat e Muslima ki halakat ki peshangoyi ki gayi hai, unke naam wa nasab Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ko bakhoobi maloom the. Yahi wajeh hai ki unhone Marwan ke saamne ye farmaya ki agar mein chahu to bata sakta hu ki woh falaan falaan ke bete hoge.

Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ko ye bhi maloom tha ki aise log kab hoge? Jin ke zulm wa sitam se ummat ki halaakat hogi. Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ye bhi jaante the ki 60 Hijri Yazeed bin Muawiya ,Marwan bin Hakam aur unke haamiyo ke zulm wa qatal aur fitna wa fasaad ka sab se azeem daur hoga. Yahi wajeh thi ki Aap Allah Ta’laa se ye dua karte the, “Aye Allah! Mujhe 60 Hijri tak zinda na rakhna. Chunaanche Allah Ta’ala ne Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki ye Dua Qubool farmayi aur 59 Hijri mein Aap ka wisaal ho gaya.
● Al Maujamul Awsat 2/105,
● Fath ul Bari, Ibn Hajar Asqalani 13/10

Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ko Yazeed wa Marwan jaise zaalimo ke fitno ka ilm kaise huwa tha? Is ka jawab khud Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki riwayat mein maujood hai. Woh farmate hai:

📗HADITH:

Maine Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se 2 tarah ka ilm mehfuz kiya hai. Ek ko maine failaya aur dusra woh hai ki agar usko failaao to mera halqoom kaat diya jaaye.
● SAHIH BUKHARI, HIFZ UL ILM, 1/35

Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ne Rasool e Akram صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se jin 2 ilmo ko mehfuz rekhne ki baat irshaad farmayi hai un mein ek Ilm ko Aap ne failaya hai. Jis ilm ko failaya hai woh ahkaam e shariya ka ilm hai aur jis ko nahi failaaya woh un ahaadith ka ilm hai jin ke zariye Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne zaalim amraa ke naam aur unka zamaana Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ko bata diya tha jis ko Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ne irshaare kanaye mein gaahe bagaahe bataya bhi hai. Lekin apni jaan ki halaakat ke khauf se us ko wazeh lafzo mein bayan nahi farmaya hai.

Chunaanche is silsile mein Shaareh Bukhari Allama Ibn Hajar Asqalani (wafat:773 h) ne ye tehreer farmaya hai:

“Ulema ne farmaya hai ki woh Ilm jisko Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ne nahi failaya woh un ahaadith ka ilm hai jin mein bure hukmaraano ke naam, unke ahwaal aur unke zamaane ka bayan hai. Chunaanche Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه baaz ko ishaaro kinaayo mein bayan karte the. Lekin jaan jaane ke khauf se waazeh taur par bayan nahi karte the. Jaisa ki woh ye dua karte the “Aye Allah! Mein 60 Hijri aur Laundo ki hukumat se teri panah chahta hu”. Is se Aap ishara karte the Yazeed bin Muawiya ki khilafat ki taraf. Kyuki woh 60 hijri mein huwi. Allah Ta’ala ne Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ki Dua qubool farmayi aur 60 hijri se ek saal pehle wafat paa gaye.
● FATH UL BAARI, 1/216

Bukhari Sharif ki riwayat guzar chuki jis mein Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ka ye irshaad hai ki agar mein chahu to un launde hukmaraano ke baare mein bata du ki falaan falaan ke bete hoge. (PREVIOUS REFERENCE)

🔸IS PAR IMAM IBNE HAJAR ASQALANI FARMATE HAI:

“Goya Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنهunke naam jaante the”
[● FATH UL BAARI 13/10]

Sahih Bukhari ki hadith “Is Ummat ki halaakat kam aql laundo ki hukumat ke zariye hogi”. Mein kam Aql laundo se muraad Yazeed wa Marwaan wagaira hai. Jaisa ki Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه ne uski taraf wazeh ishara farma diya hai. Jis ko darj e zeel ahaadith e kareema se bhi taa’eed haasil hoti hai:

📗HADITH:

MUHADDITH ABU YA’ALA AL MUSALLI (wafat:307 h) NE FARMAYA:

“Hum se Hadith bayan ki Hakam bin Moosa ne , unhone kaha Hum se Hadith bayan ki Waleed bin Muslim ne Awzaayi se, unhone Makhool se, unhone Abu Ubaidah se, unhone farmaya ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne irshaad farmaya hai: Meri Ummat hamesha insaaf par qayam rahegi yahaan tak ki us mein rukhna daalne wala sab se pehla Aadmi Banu Umaiya ka hoga jisko Yazeed kaha jaayega.
[● MUSNAD ABU YA’ALA AL MUSAALI 2 / 176, HADITH :871]

Maloom huwa ki (Allah ki ataa se) Gaib ki khabre batane wale Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apni hayaat e zaahiri hi mein ye khabar suna di thi ki Yazeed bin Muawiya aadil nahi balki zaalim hukmaraan hoga.

🔸IS HADITH KI SHARAH ALLAMA MANAWI (WAFAT : 1031 H) LIKHTE HAI:

“Sab se pehle meri sunnat yaani mere tareeqe aur aiteqaadi wa amali durust seerat ko badalne wala shaks Banu Ummaiya ka hoga. Royani aur Ibne Asaakir ne apni riwayat mein izaafa kiya hai ki usko Yazeed kaha jaayega. Baihiqi ne kaha: Woh Yazeed bin Muawiya hai.
[ ● At Taiseer bishrah ul jamie is sageer, 1/393]

🔸ALLAMA MANAWI NE BAIHIQI KE HAWALE SE MAZEED LIKHA:

“Baihiqi ne is hadith par kalaam karte huwe kaha ki woh Yazeed bin Muawiya hai. Kyuki Abu Ya’ala, Abu Nuaim aur Ibne Mani ki riwayat mein hai. Meri ummat ka maamla hamesha durustgi pe rahega. Yahan tak ki sab se pehle us mein rukhna daalega Banu Ummaiya ka ek shaks jisko Yazeed kaha jaayega.
[● FAIZ UL QADEER, 2/94]

📗HADITH:

Hum se hadith bayan ki Huza Bin khalifa ne Abu khalda se, Unhone Awf se, unhone Abu al Aliya se, unhone Hazrat Abu Zar رضي الله تعالى عنه se, unhone farmaya : Maine Rasulallah ﷺ ko farmate huwe suna: “Meri sunnat ko badlne wala pehla shaksh Banu Umaiyya ka ek aadmi hoga.”
[● MUSSANAF IBN E ABI SHAYBA, BAAB AWWAL MAN FAAL WA MAN FAALA,2 / 260, HADEES NO, 35877]

IS HADITH KE TAMAAM RAAWI SIQAH HAI.

🔸SHARAH HADITH:
Hadith e mazkoor mein Banu Umaiyya ke jis aadmi ke zariye Sunnat e Rasool ﷺ mein tabdeeli waqie hone ki peshangoyi ki gayi hai us se muraad YAZEED BIN MUAWIYA hai jaisa ki Shariheen e Hadith maslan Imam Ibne Hajr Asqalani ne Sharah Bukhari Fath ul Bari mein tehreer farmaya hai aur Ibne Asaakir , Baihiqi aur Royani wagairah ne bhi yahi zikr kiya hai.

Neez isko Hazrat Abu Ubaidah bin Jarrah رضي الله تعالى عنه ki hadith se taaeed hasil hoti hai jis mein Yazeed bin Muawiya ke naam ki sarahat maujood hai.
(Sabiqa hawale mulaaheza farmaye)

🔸TAKHREEJ E HADITH:
Hazrat Abu Zar ki hadith ko Dolabi ne Al Kani wal Asma mein,
Ibne Abi Shaiba ne apni Musannaf mein,
Abu Nuaim Asfahani ne tareekh e Asfahaan mein aur
Ibne Abi Aasim ne Al Awaail mein zikr kiya hai.

🔸MUTABIYAT:
Hazrat Abu Zar رضي الله تعالى عنه se is hadith ko riwayat karne mein Abul Muhajir aur Abu Khalid ne Abu al Aaliya ki mutabiyat ki hai.

📗HADITH:

Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se riwayat hai, Unhone farmaya: “Arab ke liye halakat hai us shar se jo qareeb aa chuka hai 60 hijri ke shuru mein. Amanat ganimat hogi, sadqa qarz hoga aur gawahi pehchaan se hogi aur faisla khwaish e nafs se hoga.”
[ • MUSTADRAK ALAA SAHIHAIN, 4/530, HADITH NO 8489]

HAKIM NE ISKO SHART E SAHIHAIN PAR KAHA AUR ZAHBI NE BHI ISKO SHART E SAHIHAIN PAR KAHA HAI.

📚TAKHREEJ E HADITH:

Abu Nuaim ne Hilyatul Awliya mein ye alfaaz zikr kiye hai:
“Halakat hai Arab ki, us shar ki wajeh se jo qareeb aa chuka hai. Unki halaakat hai laundo ki hukmarani se . Khwaish e nafs se hukumat karege aur gazab se logo ko qatl karege.
[ • HILYATUL AWLIYA, 1/384]

TAREEKH SHAHID HAI KI “YAZEED” NE 60 HIJRI MEIN APNI KHWAISH E NAFSBKI PAIRWI MEIN TALAB E HUKUMAT KE LIYE ZULM WA QITAAL KA BAZAAR GARAM KIYA JIS KE SHAR SE HARAM E MAKKAH WA MADINA BHI MEHFOOZ NAHI RAHE.

📗MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA MEIN YE ALFAAZ HAI:

✏TARJAMA: “Halakat hai Arab ki, us shar se jo qareeb aa chuka hai. Woh shar hai laundo ki hukumat. Agar log unki itaat karege to woh unhe jahannam mein le jaayege aur agar itaat nahi karege to unki gardane maar dege.
[ • MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 7/461]

TAREEKH GAWAH HAI KI “YAZEED” KI ITAAT WA FARMABADAARI KARNE WALE ‘IBNE ZIYAAD, IBNE SAAD, SHIMAR, WAGAIRAH’ SAB JAHANNAM KE MUSTAHIQ HUWE AUR ITAAT SE INKAAR KARNE WALE ‘HAZRAT IMAM HUSSAIN رضي الله تعالى عنه, AHLE BAIT E ATHAAR, AUR HAZRAT ABDULLAH BIN ZUBAIR رضي الله تعالى عنه, WAGAIRAH’ KI ZULMAN GARDANE MAAR DI GAYI. WAQIA E KARBALA MEIN IMAM HUSSAIN رضي الله تعالى عنه WA HAMIYAAN E IMAM HUSSAIN رضي الله تعالى عنه KI SHAHADAT AUR WAQIA E HARRAH MEIN MADINA MUNAWWARA AUR MAKKAH MUKARRAM MEIN SEKDO MUSALMAANO KI SHAHADAT JIN MEIN MUHAJIREEN WA ANSAAR BHI THE “LAUNDO” KI HUKUMAT SE PAIDA HONE WALE SHAR KA NATIJA THI.

📗CHUNAANCHE ALLAMA ALI BIN EBRAHIM HALABI (WAFAT: 1044 H) NE WAQIA E HARRAH KI TAFSILAAT KE ZIMN MEIN FARMAYA HAI:

✏TARJAMA: ” Waqia e Harrah mein jo kuch “Yazeed” ki taraf se huwa, us mein Rasulullah ﷺ ki peshangoyi ki tasdeeq hai ki Meri ummat ka maamla hamesha adl par qayam rahega yahan tak ki Banu Umaiya ka ek shaks Yazeed us mein se rukhna andaazi karega.
[ • SIRAT E HALBIYA, 1/240]

ALLAMA HALBI KE IRSHAAD SE MALOOM HUWA KI HADITH E MAZKOOR MEIN “رجل من بنی اميۃ” (BANU UMAIYA KA EK AADMI) SE MURAAD “YAZEED BIN MUAWIYA HAI”.

📗HADITH

Imam Hakim ne farmaya:

” Humne khabar di Abu Abbas Muhammad bin Ahmed Al Mehboobi ne, unhone kaha hum se hadith bayan ki Saeed bin Masood ne, unhone kaha hum se Hadith bayaan ki Yazeed bin Haroon ne, Unhone kaha hume khabar di Ibne Awn ne, Unhone Khalid bin Huwairis se, Unhone Abdullah bin Amr رضي الله تعالى عنه se, Unhone Nabi e Kareem ﷺ se, Aap ﷺ ne farmaya: Fitne aise hai jaise ladi mein piroye huwe daane. Ladi toot jaane par pay dar pay daane gir jaate hai (yuhi ek fitne ke baad dusra fitna wuqoo pazeer hota hai). Khalid bin Huwairis رضي الله تعالى عنه kehte hai ki Hum Fajr ki Azaan de rahe the aur wahan Hazrat Abdullah bin Amr رضي الله تعالى عنه bhi majood the. Banu Mugirah ki ek aurat jis ko Fatima kaha jata tha, bhi majood thi. Meine Abdullah bin Amr رضي الله تعالى عنه ko ye kehte huwe suna: Woh Yazeed bin Muawiya hai (ki woh fitno ka markaz hai). Ye sun kar us aurat ne kaha: Kya aisa tum kitab mein likha huwa paate ho? Aye Abdullah bin Amr!. Hazrat Abdullah bin Amr رضي الله تعالى عنه ne farmaya: Naam ke saath to nahi pata lekin ye pata hu ki Banu Umaiya ka ek aadmi hoga jo khoonrezi karega. Logo ke maal ko halaal therayega. Aur us ghar (Baitullah Shareef) ko tod kar uske ek ek pathar ko alag karega. Agar meri zindagi mein aisa huwa to koi baat nahi, warna jab aisa ho to mujhe yaad karna. Khalid bin Huwairis رضي الله تعالى عنه kehte hai ki us aurat ka makaan Jable Abu Qubais pe tha. Jab Hajjaj aur Ibne Zubair ka zamana aaya aur us aurat ne Baitullah sharif ko toot te huwe dekha (kyuki Yazeed ki fauj ki taraf se Haram par hamla karne ki wajeh se Kaba ki diwaar munhadam ho gayi thi aur uske gilaaf ko jalaya gaya tha) To us aurat ne kaha: Allah Abdullah bin Amr par rehem farmaye. Unhone iske baare mein hume khabar de di thi.
[• AL MUSTADRAK ALAA SAHIHAIN, 4/520]

🔸SANAD E HADITH: Ye Hadith Zaeef nahi. Kyuki Hakim ne is ki takhreej ki hai aur Zahbi ne is par apni taleeq mein koi jirah nahi ki hai. Haanlanki Zahbi ke nazdeek jo riwayat zaeef hai unhone apni taleeq mein uski sarahat kar di hai.

⭕IN SHA ALLAH JALD IS ARTICLE KO MAZEED UPDATE KIYA JAAYEGA

NOTE: MAZEED MALOOMAAT KE LIYE “AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE (ARC)” KI KITAB
“FISQ E YAZEED” BY “MUFTI RAZA UL HAQ ASHRAFI” PADHE.
KITAB HASIL KARNE KE LIYE IS NO PAR RAABTA KARE – 📞9920291758

Posted in Islamic Articles.