Wasile par Wahabiyo ke Aiteraaz ka Jawaab

AQEEQA E WASILA PAR WAHABIYO KE AITERAAZ KA JAWAAB

WAHABI FIRQE KE LOG NABI AUR AWLIYA SE WASILE KO NAJAIZ AUR SHIRK SABIT KARNE KE LIYE QURAN KI IS AYAT KO DALEEL BANATE HAI. MAAZALLAH!

AITERAAZ NO 1

SURAH YUNUS, AYAT NO. 18.

“Aur ye log Allah ko chhod kar aisi cheezo ki ibadat karte hai jo na unko zarar pohcha sake aur na unko nafa pohcha sake. Aur kehte hai ki Allah ke paas hamare sifaarshi hai. Aap ( صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ)

Keh dijiye ki kya tum khuda ko aisi khabar dete ho jo khuda ko maloom nahi na aasmaano mein aur na zameen mein.  Woh paak aur bartar hai un logo ke shirk se.”

IS AYAT MEIN KAHI PAR BHI NABI YA AWLIYA KA ZIKR HI NAHI AUR NA HI YE AYAT MUSALMAANO KE LIYE NAAZIL HUWI BALKI YE AYAT BOOTO KE TALLUQ SE AUR KUFFAR KE HAQ MEIN NAZIL HUWI.

Mushriqeen e Makkah Buuto ki ibadat karte aur Allah ka shareek banate. Aur har musalmaan ye jaanta hai ki Buut na nuksaan pohcha sakta hai na faida kyuki woh khuda hai hi nahi.

Mushrikeen apne buuto ko saamne rakh kar kehte ki ye hamare shifarshi hai. Magar unka ye aqeeda ki ye jhoote khuda unki sifarish karege ye mumkin hi nahi kyuki haqeeqat mein ye sirf patthar the aur inhe kisi cheez ka ikhtiyaar hi nahi. Is liye Allah ne farmaya ki ye inhe na faida pohcha sakte hai aur na nuksaan.

Ab Kuffaro ke is amal ko musalmaano se tashbeeh dena kitna bada zulm aur jahalat hai. Musalmaan Nabi ko na Khuda maante hai na Allah ka shareek. Aur Nabi Allah ke nek bande hai. Allah Surah Nisa mein farmata hai

SURAH NISA, AYAT NO. 64.

“Aur agar woh log jab apni jaano par zulm kar baithe the Aap ki khidmat mei haazir ho jate aur Allah se muaafi maangte aur Rasool صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ bhi unke liye magfirat talab karte to woh (us wasile aur shafa’at ki bia par) zaroor Allah ko tauba qubool farmane wala nihayat meherbaan paate.”

Allah khud Musalmaano se farma raha hai ki Nabi ke paas ja kar magfirat ki dua karo aur agar Nabi tumhari sifarish farmaye to mein tumhe muaaf farma duga. Aur Sahaba ne ye amal kiya aur unhe faida bhi pohcha.

Dono ayato mein wasile ka bhi zikr hai aur shifarish ka bhi magar farq ye hai ki pehli ayat Kuffaro aur Buuto ke talluq se hai aur dusri ayat musalmaano aur Ambiya ke talluq se.

Ab jo log kuffaro ke haq mein nazil hone wali ayato ko musalmaano par chaspa kare unke baare mein Hadees e Sahih mein kya kaha gaya hai dekhe…

SAHIH HADITH:

Hazrat Ibn Umar رضي الله تعالى عنه kharjiyo ko BADTAREEN MAKHLOOQ samajhte the aur farmaya ki unhone JO AYATE KUFFAR KE JAQ MEIN NAAZIL HUWI UNHE MUSALMAANO PAR CHASPA KAR DIYA.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTITABATIL MURTADEEN , JILD 3, PG 660]

¤ AITERAAZ NO 2:

WAHABI FIRQE KE LOG Wasile adam jawaz par ek aitraaz yeh karte hai ki chuki mushrikeen Buutto ki pooja karte hue yeh kehte the ki hum to Allah ka qurb hasil karne ke liye unki ibadat karte hai lehaza jis tarah taqarub e elahi ke liye in buuto ki ibadat karna na jaiz aur na pasandeda amal tehra, usi tarah ab agar koi Allah ke qurb ke liye kisi ka wasila kare to woh bhi isi tarah na jaiz hai.

Wahabi bataur daleel Quran e paak ki ye ayat pesh karte hai.

🔸SURAH ZUMAR, AYAT NO 3.

“Sun lo! Taa’at wa bandagi khalisatan Allah hi ke liye hai aur jin (kuffar) ne Allah ke siwa (Buuto ko) dost bana rakha hai woh (buut parasti ke jhoote jawaaz ke liye kehte hai ki) hum un ki parastish sirf is liye karte hai ki woh hame Allah ka muqarrab bana de. Beshak Allah un ke darmiyaan is cheez ka faisla farma dega jis mein woh ikhtilaaf karte hai. Yaqeenan Allah us shaks ko hidayat nahi farmata jo jhoota hai, bada naa shukrguzaar hai.”

Aur kehte hai ki is ayat se wazeh hoga ki mushrikeen buuto ki pooja Allah ka qurb hasil karne ke liye karte the. Woh unhe maabood samajh kar ibadat nahi karte the balki Allah ke qurb ke liye wasila tasawwur karte the jab ki Allah taala ne unke is wasile ko rad kar diya. Lehaza wasila wa tawassul jaiz nahi hai.

JAWAAB :

HAQEEQAT YEH HAI KI MAZKURA BALA AYAT WASILE KE INKAR AUR RAD MEIN HAI HI NAHI.

Wasile ke adam jawaaz par yeh bilkul jahilana aur mutaasubana istedlaal hai. Aur is hurmat ko koi daleel jawaaz wa hillat mein nahi badal sakti.

Mushrikeen buuto ki ibadat karte the. Islam ne ise na jaiz qarar de diya aur ise shirk wa kufr qarar diya. Jab unki buut parasti ko Islam ne haram aur shirk qarar diya to uske jawaaz mein unhone yeh daleel pesh ki aur bajaye iske ki woh buuto ki ibadat se baraat ka izhaar karte aur is haram amal ko tark kar dete woh dhatai se daleel jawaaz ke dar pe huwe ki hum buuto ki ibadat karte hai. Magar maabood samajh kar unki ibadat nahi karte balki isliye unki ibadat karte hai taki unke zariye hume Allah ka qurb naseeb ho jaye yaani hum takarub e illallah ke liye unhe wasila banate hai.

Mazkura ayat mein is daleel ko rad kar diya gaya ki agar koi takarub aur wasila ke irade se bhi gairullah ki ibadat kare to phir bhi yeh shirk aur haram e qataie hai. Koi daleel is ko jaiz nahi kar sakti.

❓Ab sawaal yeh hai ki mushrikeen ne apne mushrikana aur haram amal ko jaiz sabit karne ke liye wasile ki daleel kyu di?

Yeh badi badehi baat hai ki daleel dene wala hamesha apne mukhatib ke nazariyat wa aqaid ko samne rakhta hai. Isi tanazur mein woh aisi daleel lata hai jo uske fareeqe mukhalif ke liye na sirf qabil e qubool balki uske aiteqaad ka hissa bhi hoti hai. Is daleel par inhesaar karte huwe woh apne mukhatib ko woh daleel deta hai ki shayad us daleel ki wajah se uska amal jaiz ho jaye. Jab ki uske baraks agar use yeh maloom ho ki buut parasti mukhatib ke nazdeek mardud hai aur  buuto ka wasila bhi mardud hai. To aisi daleel woh kabhi bhi nahi dega. Ya yun keh le agar unhe yeh maloom ho ki buut parasti shirk hai Aur wasila bhi shirk hai to aisi surat mein buut parasti ke jawaaz ke liye woh wasile ki daleel kyu dete?

Goya mushrikeen ka buut parasti ke mushrikana amal ke jawaaz ke liye wasile ki daleel dena is baat ka izhaar tha ki shayad is jaiz amal daleel e Wasila se amr e haram yaani buut parasti ka koi jawaaz nikal aaye. Woh bakhubi jaante the Huzoor Nabi e karim صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Sahaba kiram wasile ko jaiz samajhte hai. Agar inhe maloom hota ki Islam wasile ko jaiz nahi samajhta to woh kabhi bhi Huzoor Nabi e karim صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Sahaba kiram ko buut parasti ke jawaaz ke liye wasile ki daleel pesh na karte. Buut parasti ke jawaaz ke liye wasile ki daleel pesh karna is baat ka wazeh izhaar tha ki wasila Islam mein jaiz hai.

▶Allah taala ne unki is daleel ko rad karke unhe yeh bawar karaya ki tumhara wasila indillah beshak maqbool aur jaiz hi kyu na ho magar isse shirk jaiz nahi ho sakta. Shirk qatai haram hai. Wasile jaisi arfa daleel bhi buut parasti ko shirk se paak nahi kar sakti. Lehaza shirk shirk hi raha. Iske jawaaz ke liye di jane wali daleel ko Allah ne qubool nahi kiya. Isliye Allah ne irshaad farmaya:

“Beshak Allah is baat ko nahi bakshta ki uske saath shirk kiya jaye aur usse kamtar [ jo gunah bhi ho] jiske liye chahta hai woh baksh deta hai. [ SURAH E NISSA, AYAT NO 48]

Woh har gunah ko maaf kar deta hai magar shirk ko maaf nahi karta. Goya shirk aisa amal hai jo har haal mein na qabil e qubool aur na qabil e maafi hai khulasa e kalam yeh hai ki mazkura ayat ki rooh se shirk rad hua, wasila rad nahi hua.

▶Wahabiyo ne apna batil aqeeda sabit karne ke liye phir se Kuffar ke haq mein nazil hone wali ayat ko Musalmaano par chaspa kiya. SAHIH HADEES MEIN AISA KARNE WALO KO BADTAREEN MAKHLOOQ KAHA GAYA HAI.

SAHIH HADITH:

¤ Hazrat Ibn Umar رضي الله تعالى عنه kharjiyo ko BADTAREEN MAKHLOOQ samajhte the aur farmaya ki unhone JO AYATE KUFFAR KE HAQ MEIN NAAZIL HUWI UNHE MUSALMAANO PAR CHASPA KAR DIYA.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTITABATIL MURTADEEN , JILD 3, PG 660]

▶WAHABI FIRQE KE LOG NABI AUR AWLIYA SE WASILE KO NAJAIZ AUR SHIRK SABIT KARNE KE LIYE QURAN KI IS AYAT KO DALEEL BANATE HAI. MAAZALLAH!

SURAH ISRA, AYAT NO 57

“Ye log jinki ibadat karte hai (yaani malaaika, jinnat, Esaa aur Uzair (alayhissalaam ) wagairhum ke buut aur tasweere bana kar unhe poojte hai) woh (to khud hi) apne Rab ki taraf wasila talaash karte hai ki un mein se (baargahe Ilaahi mein) zyada muqarrab kaun hai aur (woh khud) uski rehmat ke umeedwaar hai aur (woh khud hi) azaab se darte rehte hai. Beshak Aap ke Rab ka azaab darne ki cheez hai.”

WAHABI IS AYAT SE SABIT KARTE HAI KI WASILA NAJAIZ HAI. MAGAR HAQEEQAT MEIN IS AYAT SE WASEELE KE JAIZ HONE KA SUBOOT MILTA HAI.

▶Daur e Jahiliyat mein Mushrikeen Jinnat, Hazrat Essa aur Hazrat Uzair (alayhissalaam ) ke buut aur tasaweer bana kar unki pooja karte the. Islam se qabl jinnat ne insano ko gumrah karne mein koi kasar nahi chodi. Yeh buuto mein ghuss kar ajeeb o gareeb harkate karte. Buuto ko hilta julta aur muskurata dekh kar sada loh zaeef ul etekad log in ki ibadat mein masruf ho jate the. Lekin Jab Islam ki roshni zahir huwi to jinnat apne is gumrah kun amal se taib ho kar musalman ho gaye. Allah taala ke Aabid wa farma bardaar ban gaye aur usse paane ke liye kisi aqrab wa afzal Wasile ke mutalashi ban gaye aisa wasila jo unhe khuda raseeda kar de.

TAFSEER : SAHIH HADITH

¤ Hazrat Abdullah bin Masood  رضي الله تعالى عنه is ayat ke shaan e nuzul ke hawale se farmate hai ki yeh ayat ek Jamat e Arab ke haq mein nazil huwi jo jinnat ke ek giroh ko pujte the jab woh Jin islam le aaye aur unke pujne wale isse be khabar rahe to Allah taala ne unhe yaad dilaya aur farmaya jinhe tum puj rahe ho woh hamare huzoor sar wa sujood hai aur woh khud hamare muqaribeen ka wasila dhund rahe hai.

[● SAHIH BUKHARI, JILD 2 ,

● SAHIH MUSLIM,  JILD 2]

▶SAHIH BUKHARI ki tafseer se yeh masla wazeh ho gaya ki muqaraban e Elaahi ka wasila lena jaiz hai aur woh khud bhi qurb e Elaahi ke usool ke liye khud se apne zyada muqarab ki talash mein rehte hai. Goya muqaribeen ka apna amal bhi yahi hai….

Mazkura ayat apna maani wa ashgaf e andaz mein wazeh kar rahi hai ki mushrikeen jin ko apna khuda banaye apni taklif wa musibat mein pukarte hai yeh khud unhe hi balki yeh to khud har lamha apne Rab ki raza ke liye mahu rehte hai agar yeh waqi khuda hote jaisa ki mushrikeen ka za’am e batil hai to phir unhe kisi ki ibadat aur raza joi ki zarurat hi na rehti.

▶Is ayat e karima se yeh bhi wazeh hua ki muqarab bando ko bargah e elahi mein wasila banana jaiz hai aur un maqboolan e haq ka apna tareek bhi yahi hai.

▶Yahan kisi zehen mein yeh sawal paida ho sakta hai ki muqaraban e elahi, Ambiya wa Awliya khud wasile ki talash mein hai to dusro ka wasila kya banege?

Dar haqeeqat is ayat mein gaur karne se iska jawab khud mil jata hai ki kisi gair ki ibadat karna mamnu hai lekin maqboolan e haq ka wasila lena aur unse dua ke liye arz karna jaiz hai. Ibadat ki nafi hai wasile ki nafi nahi. Maqboolan e haq wasila bante hai maabood nahi. Sahih aqeedah bhi yahi hai ki Ambiya aur Awliya wasila hi hai maabood nahi.

▶Wahabiyo ne apna batil aqeeda sabit karne ke liye phir se Kuffar ke haq mein nazil hone wali ayat ko Musalmaano par chaspa kiya. SAHIH HADEES MEIN AISA KARNE WALO KO BADTAREEN MAKHLOOQ KAHA GAYA HAI.

SAHIH HADITH:

¤ Hazrat Ibn Umar رضي الله تعالى عنه kharjiyo ko BADTAREEN MAKHLOOQ samajhte the aur farmaya ki unhone JO AYATE KUFFAR KE HAQ MEIN NAAZIL HUWI UNHE MUSALMAANO PAR CHASPA KAR DIYA.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTITABATIL MURTADEEN , JILD 3, PG 660]

▶WAHABI FIRQE KE LOG NABI AUR AWLIYA SE WASILE KO NAJAIZ AUR SHIRK SABIT KARNE KE LIYE QURAN KI IS AYAT KO DALEEL BANATE HAI. MAAZALLAH!

SURAH FATIR, AYAT NO 22.

“Aur na zinda log aur na murde barabar ho sakte hai. Beshak Allah jisse chahta hai suna deta hai aur Aap ke zimme unko sunana nahi jo Qabro mein (madfan murdo ke maanind) hai (yaani Aap kaafiro se apni baat qubool karwane ke zimmedar nahi hai).

🔷JAWAAB :

Wahabi is ayat se ye sabit karne ko koshish karte hai ki Qabr wale nahi sun sakte. Aur jo Qabro mein hai woh murda hai. Is ayat se ye pata chala ki Ambiya aur Awliya Murda hai aur na sun sakte hai. MaazAllah! . Jab sun nahi sakte aur murda hai to kaise wasila ban sakte hai?

ASTAGFIRULLAH!  MAAZALLAH!

KISI MUSALMAAN KA AISA AQEEDA HO SAKTA HAI? HARGIZ NAHI.

KYA QURAN KI IS AYAT MEIN ALLAH APNE AMBIYA AUR AWLIYA KO MURDA FARMA RAHA HAI?

Haqeeqat mein is ayat mein na jismani murdo ka zikr hai aur na Qabr walo ki quwat e sama’at ka zikr hai.

TAFSEER IBN KASEER

🔸”Aur Zinde aur Murde barabar nahi ”

Yahan zindo se muraad Momin hai aur murdo se muraad Kafir hai.]

TAFSEER  IBN KASEER: Irshad hota hai ki momin aur kafir barabar nahi. Jis tarah andha aur dekhta , andhera aur roshni, saaya aur dhup, zinda aur murda barabar nahi. Jis tarah in cheezo mein zameen wa asmaan ka farq hai usi tarah imaandaar aur beimaan mein bhi beinteha farq hai. Momin misl aankhon wale ke aur ujale ke aur zinde ke hai. Bar khilaf kafir misl ek andhe ke aur andhere ke.

Jaise farmaya:  jo murda tha phir usse humne zinda kar diya aur use noor diya. Jise liye hue logon mein chal phir raha hai. Aisa shaksh aur woh shaksh jo andhero mein ghira hua hai jin se nikal hi nahi sakta kya yeh dono barabar ho sakte hai?

Yaani in dono jamaato ki misaal andhe aur behre aur dekhte , sunte ki si hai. Momin to ankhon aur kaano wala ujale aur noor wala hai. Phir raahe mustaqeem par hai jo sahih taur par saayo aur nehro wali jannat mein pohchega aur iske barakas kafir na behra aur andhero mein fasa hua hai jinse nikal hi nahi sakta. Aur theek jahanum mein pohochega.

“ALLAH taala jis ko chahta hai sunwa deta hai”

TAFSEER IBN KASEER- Yaani is tarah sunne ki taufeeq de ki sun kar qubool hi karta jaye.

“Aur aap un logo ko nahi suna sakte jo qabron mein hai”

TAFSEER IBN KASEER – yaani jis tarah koi marne ke baad qabr mein dafna diya jaye to usse pukarna ( Hidayat ki tablig karna) Besood hai isi tarah kufaar hai ki hidayat wa dawat unke liye bekar hai. Isi tarah in mushriko par inki bad bakhti cha gayi hai aur inki hidayat ki koi surat baqi nahi rahi to unhe kisi hidayat par nahi la sakta. To sirf aagah kar dene wala hai. Aapke zimme sirf tablig hai.

IS AYAT KI TAFSEER SE YE PATA CHALA KI ZINDO SE MURAAD MOMIN HAI AUR MURDO SE MURAD KAFIR HAI AUR QABR WALO KA NA SUNANE SE MURAAD KUFFAR KA HIDAYAT KA NA PANA MURAAD HAI.

IS AYAT MEIN NA JISMANI TAUR PAR ZINDO KA ZIKR HAI AUR NA MURDO KA AUR NA AMBIYA KA ZIKR HAI AUR NA AWLIYA KA AUR NA QABR WALO KA ZIKR HAI AUR NA UN KI QUWAT E SAMA’AT KA.

MAGAR WAHABIYO NE IN KUFFAR KO MAAZALLAH AMBIYA AUR AWLIYA PAR CHASPA KIYA AUR KUFFAR KE HIDAYAT KI DAWAT KO NA SUNNE KO BHI SAMA’AT E AMBIYA AUR AWLIYA PAR CHASPA KIYA.

AUR MAAZALLAH NABI KO QABR MEIN MURDA KAHA JAB KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE FARMAYA KI AMBIYA APNI QABRO MEIN ZINDA HAI.

SAHIH HADITH :

“Abu Darda  رضي الله تعالى عنهse riwayat hain ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya : ” Allah ne zameen ke liye Ambiya e kiraam ke jismo ka khana haraam kar diya hai. Pas Allah ka Nabi zinda hota hai aur usse rizq diya jata hai.” [●SUNAN IBN MAJAH, KITAB UL JANAIZ, JILD 1]

AUR SAHIH HADITH MEIN FARMAYA KI MURDE SUNTE HAI :

SAHIH HADITH :

“Hazrat Anas bin Mālik farmate hai, Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya Jab Murde ko Qabr mein rakha jata hai aur uske saathi wapas laut jaate hai to woh UNKE JUTO KI AWAAZ SUNTA HAI.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL JANAIZ,  JILD 1 ]

SAHIH HADITH :

“Ibn Umar رضي الله تعالى عنه farmate hai, Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Badr ke quwe mein pheke huwe kuffar maqtuleen par khade ho gaye. Pas aap ne farmaya kya tumne apne Rab ke waade ko sahi aur sacha nahi paya? To Aap se arz kiya gaya, Aap murdo ko sunate hai? Aap ne farmaya “TUM UNSE ZYADA SUNNE WALE NAHI LEKIN WOH JAWAB NAHI DETE”

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL JANAIZ, JILD 1 ]

SAHIH HADITH SE TO SABIT HUWA KI NABI APNI QABR MEIN ZINDA HAI AUR QABR WALE SUNTE BHI HAI.

PATA CHALA KI WAHABI JHOOTE HAI AUR QURAN KI AYATO KA GALAT MATLAB PESH KARTE HAI. AUR JO AYAT WAHABIYO NE PESH KI UNSE WASILA NAJAIZ SABIT HI NAHI JOTA HAI.

▶Wahabiyo ne apna batil aqeeda sabit karne ke liye phir se Kuffar ke haq mein nazil hone wali ayat ko Musalmaano par chaspa kiya. SAHIH HADEES MEIN AISA KARNE WALO KO BADTAREEN MAKHLOOQ KAHA GAYA HAI.

SAHIH HADITH:

Hazrat Ibn Umar رضي الله تعالى عنه kharjiyo ko BADTAREEN MAKHLOOQ samajhte the aur farmaya ki unhone JO AYATE KUFFAR KE HAQ MEIN NAAZIL HUWI UNHE MUSALMAANO PAR CHASPA KAR DIYA.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTITABATIL MURTADEEN , JILD 3, PG 660]

AITERAAZ NO 5:

Wahabi firqe ke log ye aiteraaz karte hai ki HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Allah ke bande hai. Aur jo log Allah ke Bando ko wasila banate hai taaki woh unki madad kare (yani unhe madadgaar banaye) to Allah aise logo ko Jahannam mein dakhil karega. Aur daleel mein is Ayat ko pesh karte hai:

SURAH KAHF, AYAT NO 102.

” KYA KAFIR LOG YE SAMAJHTE HAI KI WOH MUJHE CHHOD KAR MERE BANDO KO KAARSAAZ (HIMAYATI) BANA LEGE. BESHAK HUM NE KAFIRO KE LIYE JAHANNAM KI MEZBANI KO TAYYAR KAR RAKHA HAI.”

JAWAB :

HAQEEQAT YEH HAI KI MAZKURA BALA AYAT WASILE KE INKAR AUR RAD MEIN HAI HI NAHI. IS AYAT MEIN SIRE SE WASILE KA KOI ZIKR HI NAHI.

SURAH KAHF KI YE AYAT KUFFARO KE HAQ MEIN NAZIL HUWI. KUFFAR ALLAH KE  FARISHTO KO MABOOD (KHUDA) SAMAJH KAR UNKI IBADAT KARTE AUR UNSE MADAD MAANGTE THE.

IS AYAT MEIN GAIRULLAH KI IBADAT AUR ALLAH KE BANDO KO MABOOD BANANE KA ZIKR KIYA GAYA HAI AUR UNKE IS AQEEDA E SHIRK KA RAD KIYA GAYA.

MUSALMAAN NA AMBIYA, FARISHTO AUR AWLIYA KO MABOOD MAANTE HAI AUR NA ALLAH KA SHAREEQ. BALKI WOH ALLAH KE NEK BANDE HAI.

IS AYAT KI TAFSEER SE SAAF WAZEH HAI KI YE AYAT AMBIYA KE WASILE KE RAD MEIN NAHI BALKI ALLAH KE FARISHTO AUR AMBIYA KI IBADAT AUR UNKO MABOOD SAMAJHNE KE RAD MEIN HAI.

TAFSEER DURE MANTHUR:

“Imam Ibn Abi Hatim رضي الله تعالى عنه ne Hazrat Qatada رضي الله تعالى عنهse is Ayat ki Tafseer mein riwayat kiya hai ki KUFFAR ne ye gumaan kar rakha hai ki woh MALAIKA ko apna Himayti bana lege ALLAH TALAA KO CHHOD KAR.”

TAFSEER IBN KASEER :

“(kuffar) Yahi samajhte rahe ki unke JHOOTE MABOOD hi unhe saare Nafa pohchayege aur kul sakhtiya dur kar dege mehez galat khayaal hai. Balki woh to unki IBADAT ke bhi munkar ho jaayege. Aur unke dushman ban khade hoge. Un KAFIRO ki manzil to jahannam hi hai jo abhi se tayyar hai.”

IS AYAT KI DONO TAFSEER SE YE SABIT HO GAYA KI IS AYAT MEIN ALLAH KE BANDO KI IBADAT AUR UNKO MABOOD TASAWWUR KARNE KA ZIKR HAI AUR UNKE IS SHIRK KA ZIKR HAI. IS AYAT KA AMBIYA AUR AWLIYA KE WASILE SE KOI TALLUQ NAHI.

AUR YE MUSALMAANO KE LIYE NAHI BALKI KUFFAR KE HAQ MEIN NAZIL HUWI.

BALKI MUSALMAANO KE TALLUQ SE ALLAH KHUD QURAN MEIN FARMATA HAI KI FARISHTE, AMBIYA AUR AWLIYA MUSALMAANO KE MADADGAAR HAI.

SURAH at-TAHRIM , AYAT NO 4 :

“So beshak Allah hi unka Dost wa Madadgaar hai aur Jibrael aur Swaleeh Momineen bhi aur uske baad (saare) Farishte bhi unke Madadgaar hai. ”

AUR ALLAH NE QAMIYAAB USSI KO FARMAYA JO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AUR MOMINO KO APNA AWLIYA (DOST) MAANE.

[●SURAH MAIDA, AYAT NO 56]

“Aur Jo Shaks Allah aur uske Rasool aur Imaan walo ko Dost banayega to Allah ki jamat hi galib hone wali hai.”

Wahabiyo ne apna batil aqeeda sabit karne ke liye phir se Kuffar ke haq mein nazil hone wali ayat ko Musalmaano par chaspa kiya. SAHIH HADITH MEIN AISA KARNE WALO KO BADTAREEN MAKHLOOQ KAHA GAYA HAI.

SAHIH HADITH:

Hazrat Ibn Umar رضي الله تعالى عنه kharjiyo ko BADTAREEN MAKHLOOQ samajhte the aur farmaya ki unhone JO AYATE KUFFAR KE HAQ MEIN NAAZIL HUWI UNHE MUSALMAANO PAR CHASPA KAR DIYA.

[●SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTITABATIL MURTADEEN , JILD 3, PG 660]

 

 

Posted in Islamic Articles.