Ziyarat e Quboor (Ambiya wa Awliya) ke liye safar karna

AMBIYA AUR AWLIYA KI MAZAARAAT/DARGAH KI HAAZRI KE LIYE SAFAR KARNA

● ZIYARAT E QUBOOR KE LIYE SAFAR KARNE PAR AHAADITH:

1. HADITH:

HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE APNE ROZE ATHAR KI ZIYARAT KE HAWALE SE IRSHAAD FARMAYA

“Hazrat Abdullah bin Umar  رضي الله تعالى عنه ne riwayat kiya hai: Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne farmaya, Jisne meri Qabr ki ziyarat ki us ke liye meri shafa’at wajib ho gayi”.

[ ● SUNAN DAARE QUTNI, JILD 2, PG 278;

● HAKIM TIRMIZI, NAWADIRUL USOOL, JILD 2, PG 67;

● BAIHIQI – SHOBUL IMAAN, JILD 3, PG 490;]

● ZAHBI NE “MIZAAN UL AITEDAAL (6:567)” MEIN KAHA HAI KI ISSE HAZRAT IBN UMAR رضي الله تعالى عنه  NE MARFUAN RIWAYAT KIYA HAI AUR IBN KHUZAIMA NE “MUKHTASAR AL MUKHTASAR” MEIN NAKL KIYA HAI.

● IMAM NABHANI “SHAWAHIDUL HAQ FI AL ISTAGASUHU BI SAYADIL KHALQ , PG 77”  MEIN LIKHTE HAI KI AIMAH E HADITH KI EK JAMAAT NE ISSE SAHIH QARAAR DIYA HAI.

● IMAM SUBKI IS HADITH  KI CHAND ASAANEED BAYAN KARNE AUR JIRAA WA TADEEL KE BAAD FARMATE HAI:

“MAZKURA HADEES HASAN KA DARJA RAKHTI HAI. JIN AHAADITH MEIN ZIYARAT E QUBOOR E ANWAR KI TARGEEB DI GAYI HAI UN KI TADAAD 10 SE BHI ZYADA HAI. IN AHAADEES SE MAZKURA HADITH KO TAQWIYAT MILTI HAI AUR ISSE HASAN SE SAHIH KA DARJA MIL JATA HAI.” [SUBKI , SHIFAUL ASQAAM FI ZIYARATIL KHAYRIL ANAAM, 3:11]

● ABDUL HAQ SHIBLI NE ISSE SAHIH QARAAR DIYA HAI. IMAM SUYUTI NE “MANAHIL AL SAFA FI TAKHREEJ AHAADEES AL SHIFA , PG 71” MEIN ISSE SAHIH KAHA HAI.

● SHAYKH MEHMOOD SAEED MAMD’O “RAF’AUL MINARAH , PG 318″ MEIN IS HADEES PAR BADI MUFASSAL TEHQEEQ KE BAAD LIKHTE HAI KI YE HADITH HASAN HAI AUR QAWAID E HADITH BHI ISSI RAAI PAR DALAALAT KARTE HAI.

IS HADITH KA MAFOOM YE HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ROZE AQDAS KE ZAAEER PAR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI SHAFA’AT MUTAHAQIQ AUR LAAZIM HO GAYI YAANI ALLAH TA’AL SE ZAAEER KI MUAAFI WA DARGUZARI KI SIFARISH KARNA LAAZIM HO GAYA.

2. HADITH:

Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه  ne  Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko ye farmate huwe suna: ” Jis ne meri Qabr ( ya raawi kehte hai ki Aap ne farmaya:) Meri ziyarat ki Mein us ka shafi ya gawah hou ga. Aur jo koi 2 harmo mein se kisi ek mein faut huwa Allah use Roze qayamat imaan walo ke saath uthayega.”

[● MUSNAD TAYAALSI, 13, RAQAM : 65;

● SUNAN DARE QUTNI, JILD 2, PG 278;

● BAIHIQI – SUNAN E KUBRA, JILD 5, PG 245]

3. HADITH:

Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka farmane Aqdas:

“Jisne Haj kiya phir meri wafat ke baad meri Qabr ki ziyarat ki to goya usne meri zindagi mein meri ziyarat ki.”

[● SUNAN DARE QUTNI, JILD 2, PG 278;

● TABRANI – AL MAUZAMIL KABEER, 12:310;

● TABRANI – AL MAUJAMIL AWSAT, 4:223;

● KHATEEB TABREZI NE MISHKAAT AL MASAABIH (2:128, KITAB UL MANASIK) MEIN ISSE MARFOO HADEES QARAAR DIYA HAI.]

4. HADITH:

Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka farman e Aqdas hai:

“Jis ne Baitullah ka Haj kiya aur meri (Qabr e Anwar) ziyarat na ki to us ne mere saath Jafa ki.”

[ ● SUBKI – SHIFA UL SIQAAM FI ZIYARATIIL KHAIRIL ANAAM: 21;

● IBN HAJAR MAKKI – AL JAWAHIRIL MUNZAM: 28;

● NABHANI – SHAWAHIDUL HAQ FI FI AL ISTIGHASA BI SAYYADIL KHALQ: 82]

 

5. Hazrat ka’ab ul Ahbarرضي الله تعالى عنه  ke qubool e Islam ke baad Hazrat Umar Farooq رضي الله تعالى عنه ne unhe kaha:

“Kya Aap Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Roze Aqdas ki ziyarat aur fuyoozo barakaat haasil karne ke liye mere saath Madina Munawwara chalege? To unhone kaha: Ji! Ameer il Momineen.”

Phir jab Hazrat Ka’ab ul Ahbar رضي الله تعالى عنه  aur Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه  Madina Munawwara Aaye to sab se pehle Baargah e Sarware konain صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِmein haazri di aur salaam arz kiya. Phir Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه ke madfan mubarak par khade ho kar unki khidmat mein salaam arz kiya aur 2 rakat namaz adaa farmayi.

[ ● WAQIDI – FATHUS SHAAM, JILD 1, PG 244;

● HAITHAMI – AL JAWHARUL MUNZAM: 27-28]

IS BAAB MEIN KASEER AHADITH AUR AQWAAL RIWAYAT HUWE HAI JO AMBIYA WA SAHABA WA AWLIYA WA AIMA KE MAZAARAAT KI ZIYARAT AUR UNSE FAIZ O BARAKAAT HAASIL KARNE PAR KUTUB E AHAADITH WA SIYAR MEIN MAUJOOD HAI. AUR YAHI AQEEDA WA AMAL 1400 SAAL SE UMMAT MEIN QAYAM HAI AUR TAMAAM MUHADISEEN WA MUFASIREEN AIMA NE ISSE JAIZ WA MUSTAHAB KAHA HAI.

AMBIYA AUR AWLIYA KI DARGAAH/ MAZAARAAT KI HAAZRI KE LIYE SAFAR KARNE PAR WAHABIYO KE AITERAAZ KA JAWAB

WAHABI AITERAAZ:

Jiske naam ka URS hota hai, Mela ussi ki Qabr par lagta hai. Log usme shirkat keliye door-door se SAFAR karte hain.

PYARE NABI(SAW) NE FARMAYA:

Tum ‘Safar’ MAT karna,

SIWAYE TEEN Masjido ki taraf;

1) Masjid-e-Haraam,

2) Masjid-e-Nabwi,

3) Masjid-e-Aqsa.

[Bukhari 1189.]

AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KA JAWAB:

WAHABI IS HADITH KO BUNIYAD BANA KAR AMBIYA AUR AWLIYA KE QUBUR (MAZAARAAT) KI ZIYARAT HAT’TA KI HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ROZE ATHAR (QABR E MUBARAK) KI BA-GARZ E ZIYARAT HAAZRI KO BHI NAJAIZ AUR (MAAZALLAH) SHIRK KEHTE HAI. JAB KI MUHADISEEN WA MUFASIREEN E KIRAAM NE IS ISTIDLAAL KO GALAT AUR KAJH FEHMI KARAAR DIYA HAI. UNHONE APNI MAUTABAR KITAAB MEIN IS HADITH KA SAHIH MATLAB BAYAN KIYA HAI.

HADITH:

“Hazrat Abu Hurraira رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya : Masjid e Haraam, Masjid e Nabwi aur Masjid e Aqsa ke siwa kisi ki taraf rukhsat e safar na baandha jaaye.”

[● SAHIH BUKHARI, KITAB UL JUMAH, BAAB FAZLUL SALAAH FI MASJID MAKKAH WAL MADINA, JILD 1]

AB WAHABIYO NE IS HADITH SE YE ISTIDLAAL KIYA KI IN TEENO MASJID KE ALAWA KISI BHI MAZAAR PAR JANE KI NIYAT SE SAFAR KARNA HARAM HAI.

YE ISTIDLAAL AUR MATLAB BILKUL GALAT HAI.

IS HADITH KA SAHIH MATLAB YE HAI KI “ZYADA SAWAAB KE HUSOOL KI NIYAT SE TEEN MASAJID KE SIWA KISI MASJID KI TARAF SAFAR NA KIYA JAAYE YAANI ZYADA  SAWAB SIRF IN TEEN MAAJIDO KE LIYE KHAAS HAI. AB KOI SAWAAB ZYADA MILNE KI NIYAT SE IN TEEN MASAAJID KE ALAWA DUSRI MASAAJID KE LIYE SAFAR NA KARE.”

IS HADITH MEIN QABRO KI ZIYARAT KA ZIKR HI NAHI.

●IS HADITH KE SAHIH MATLAB PAR AIMA E HADITH KI TEHQEEQ:

1. IMAM NAWAWI (676 hijri) KI TEHQEEQ:

“Is Hadith mein teen masaajid ki fazilat aur duniya ki deegar masaajid par darje mein unki bartari ka bayaan hai kyuki ye Ambiya ki masaajid hai aur is wajeh se in mein namaz padhne ka sawaab aur fazilat zyada hai. ”

[●NAWAWI – SHARAH SAHIH MUSLIM, JILD 9, PG 106]

UNHONE MAZEED LIKHA HAI KI BAAZ ULEMA NE IN MASAAJID KE ALAWA QUBOOR E SWALIHEEN PAR JAANE MEIN ALAG ALAH AARAA KA IZHAAR KIYA HAI:

“Hamare ashaab (yaani shawafe) ke nazdeek sahih mauqif ye hai ki Ziyarat e Quboor na haraam hai na makrooh. Unhone kaha is hadees ka sahih matlab ye hai ki SAWAB KE LIYE safar ikhtiyaar karne mein mukammal fazilat in teen masajid ke saath khaas hai”

[● NAWAWI – SHARAH MUSLIM, JILD 9, PG 106]

EK JAGAH UNHONE LIKHA HAI:

“Is Hadith mein masajid ki fazilat aur uski taraf safar ki fazilat ka bayan hai. Is liye jumhoor aima ke nazdeek in masaajid ke alaawa dusri masaajid ki taraf rukhsat e safar baandhne mein koi fazilat nahi.

[●NAWAWI – SHARAH SAHIH MUSLIM, JILD  9, PG 168]

ISSI TARAH IN TAMAAM MUHADITHEEN NE YAHI FARMAYA:

2. IMAM SUBKI (756 HIJRI) KI TEHQEEQ

[● ASQALANI – FATH UL BAARI, SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 3, PG 66]

3. QAZI AYYAZ (544 H) KI TEHQEEQ [●NAWAWI – SHARAH AL NAWAWI, JILD 2, PG 177]

4. IMAM IBN HAJAR ASQALANI (852 H ) KI TEHQEEQ

[● ASQALANI – FATH UL BAARI SHARAH SAHIH BUKHARI, JILD 3, PG 65]

5. ALLAMA BADRUDDIN AYNI (855 H) KI TEHQEEQ

[●AYNI – UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI , JILD 7, PG 253- 254 -260]

6. IMAM SUYUTI (911 H) KI TEHQEEQ

[●SUYUTI, SHARAH SUNAN IBN MAJAH, JILD 1:102]

7. MULLA ALI QARI (1014 H) KI TEHQEEQ

[● ALI QARI – MIRQAH AL MAFATIH, JILD 2, PG 190]

8. SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLWI (1052 H) KI TEHQEEQ

[●ASHATUL LAMAAT, JILD 1, PG 324]

9. IMAM ZURQANI (1122 H) KI TEHQEEQ [●ZURQANI- SHARAH AL MUWATTA, JILD 1, PG 320]

IN TAMAAM MUHADISEEN NE IS HADEES KA SAHIH MATLAB WA MAFOOM YAHI BATAYA KI BAAZ LOGO KO IS HADEES E MUBARAK SE MUGAALTA (MISCONCEPTION) HUWA PAS UNHONE SAMJHA KI SHAAYAD IN TEEN MAQAAMAAT KE ALAWA KAHI AUR SAFAR KE LIYE JANA HUKME MUMAANIYAT ME DAAKHIL HAI HAANLAAKI YE BAAT GALAT HAI KYUKI QAADAH KI ROO SE ISTASNA YA TO JINSI ‘MUSTASNA MINH’ SE HOTA HAI. PAS IS SOORAT MEIN HADEES E MUBARAK KA MAANI HOGA MASAJID MEIN SE KISI MASJID KI TARAF SAFAR NA KIYA JAAYE YA MAQAAMAAT MEIN SE KISI MAQAAM KI TARAF ZAATI FAZILAT KI WAJEH SE SAFAR NA KIYA JAAYE SIWAAYE MAZKURA TEEN MAQAAMAAT KE. PAS ZIYARAT WA MULAAQAAT YA TALB E ILM KE LIYE KISI JAGAH KA SAFAR US JAGAH KI WAJEH SE NAHI BALKI US JAGAH MEIN REHNE WALE KI WAJEH SE HOTA HAI.

 

 

Posted in Islamic Articles.