Q 1220. Kya Islami posters diwaro par lagana jaha unki tazeem na ho sake lagana jaiz hai?

Quest code (1220)

Assalamu Alaikum!
Mera Sawal hai ki Islami posters (jalsa, juloos, waghaira k) Jis par Nabi Paak Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam ka Mubarak naam, Muhammad, Ahmad, or Buzurgane Deen k naam jaise ki Bafaiz-e-Ruhani me de dete hain or Allah ki sifati naam bhi hote hain. Wah Islami posters har ek jagah jaise ki Gali, Mohalle, Chorahe, Bazaar har jagah bina kisi tazeem ki parvah k laga diye jate hain or un par Kaba, Gumbad-e-Ghazra, Ghos-o-Khwaja ka aastana bhi bana hota hai or ye sab Barish me bhi bheegte hain or Phat k naliyo me bhi girte hain or in sab ko har Aam jagah yahan tak ki Jahan Film k posters bhi lage hote hain Gandi/Nangi tasviro wale Unke paas bhi ye Islamic posters Madaris or Islami tanzimo ki Janib se Ulema lagvate hain. Ulema ye sab dekhte or jaante hue bhi aisa karte hain iske liye kya Shar’i hukm hai?
“`Talib-e-Dua“`
*Muhammad Mubeen Ashraf*
(Nabira-e-Huzoor Khateeb-e-Azam Imam-e-Millat Hazrat Allama Maulana Maulvi Al-Hafiz wa Qari-e-Azam-e-Hind *Mufti Ash-Shah MUHAMMAD HASAN* Sahab Qadri Ashrafi Sambhali Kanpuri rehmatullah aleh)
SAMBHAL SHARIF, U.P.

Posted in Ask ARC Mufti.