Q 1404. Agar kisi ki Maa zaaniya ho to kya uske bache us Maa ki tazeem karege?


Quest code (1404)

ایک عورت ایسی ہے جسکا شوہر تقریباً 20سال قبل وفات پا چکا ہے اور ظاہر سی بات ہے جسکا شوہر جوانی میں ہی وفات پا گئے ہیں اسکے اندر نفسانی شہوت ابھی بھی باقی رہےگی تو اسے دوسرا نکاح کر لینا چاہیے لیکن اسنے ایسا نہیں کیا اور زنا میں مبتلا رہی اور اسکے بچے بھی ہیں جب اسکے بچے جوان بلوغت کو پہوںچے تو اسے معلوم ہوا کہ اسکی ماں زنا میں گھری ہوئی ہے تو کیا اب وہ بیٹا اس ماں کی تعظیم پھر بھی کریگا؟ اور اس ماں کو کیا سزا ملنی چاہئے کیا حکم لگےگا برائے مہربانی جواب عنایت فرمائیں…

Sawal:
Ek aurat aisi hai jiska shohar taqreeban 20 saal pehle wafat paa chuka hai aur zaahiri si baat hai jiska shohar jawani mein hi wafat paa gaye hai uske andar nafsaani shehwat abhi bhi baaqi rahegi to usse dusra nikah kar lena chahiye lekin usne aisa nahi kiya aur zina mein mubtala rahi aur uske bache bhi hai. Jab uske bache jawaan bulugat ko pohche to usse maloom huwa ki uski Maa zina mein gehri huwi hai to kya ab woh beta us Maa ki tazeem phir bhi karega? Aur us Maa ko kya saza milni chahiye. Kya hukm lagega bara e meherbani jawaab inaayat farmaye.

Posted in Ask ARC Mufti.