Q 1725. Zaid kehta hai ki Hazrat Muawiya ka zikr karne se Ahle bait ko takleef pohachti hai. Kya ye durust hai?

Quest code (1725)

Assalamu alaikum

Hamare liye Allah aur Huzoor (saws) aur Ahle baith athaar kaafi hai ;Duniya me bhi aur Aqibath me bhi kyun baar baar Ameer e Muawiya ki tayeed ki ja Rahi hai.unki fazeelat ka aitraaf karna Deen o eeman ka hissa nahin.Bas sahabi e Rasool hai isliye, Huzoor (saws)ki nisbat se ehteram Karenge.

Ameer Muawiya Ko manna ya unko chahna Deen ka hissa hai toh phir zaroor chahiye unke gun gayiye .Hamare Eaman ka hissa Allah aur Huzoor (saws) Ke Baad ,Maula Ali aur Ahle baith Ko chahna hai .

Mujhe kisi se poochne ki zaroorat nahi hai ,Eaman yehi hai ke Allah aur uske Rasool (saws)se aur Ahle baith aur tamam sahaba se muhabbat ki jaye aur Huzoor (saws) ki nisbat se tamam sahabiyon ka ehteram Kiya jaye . isliye hum bhi koi sahabi ki Shaan me gustaqi nahi karsakte na Karenge .Aiteraaz bas is Baat pe hai ki AAP Kyun Baar Baar Ameer E Muawiya ki tayeed tareef karte hai. Unki tareef se Bibi Fatima (as) Ko aur Hz Ali Ko,Hussnain kareemaink ko takleef pahunchti hai ,aur yazeediyon Ko qushi milti hai, toh kya AAP Aisa chahte Hain.kahin par bhi yeh taleem nahi di Gayi hai ke Ameer E Muawiya ki tareef ya fazeelat bayaan kijiye .ya unka Zikr Baar Baar karein. Lekin Huzoor (saws) ne farmaya hai aur takeed ki hai ki meri Ahle baith se muhabbat Karen.(BALKI Quran ki aayat bhi maujood hai).yahan tak aaya hai ke Ali (a.s) Ko dekhna aur zikr karna bhi ibadat hai.Huzoor ne apne bachon ko bhi Ahle baith ki mohabbat sikhane ka hukum diya hai.Toh mujhe yehi poochna that ke Zikr e Ameer E Muawiya se kaunsa sawab Milne wala aapko ,bas yazeediyon Ko qushi hogi aur Huzoor (Saw) Ko aur Ahle baith Ko takleef. AAP uske bajaye bar bar fazeelat e Ahle baith ka Zikr Karen.,jisse sawab bhi milega aur shayad grp walon me bhi Ahle baith ki zyada muhabbat paida ho.Beshak ameer E Muawiya ek sahabi the aur usi nisbat se unko kuch Bura nahi kahenge.iska yeh MATLAB nahi ke bilawajah unki tareef karna zaroori hai.aap yehi sonchiye ke AAP Ko kise qush Karna hai Bint e Rasool (saws) Ko ya yazeediyon Ko .

Is shaks ke bare me ulama ye ahle sunnat ka kya kehna hai

Posted in Ask ARC Mufti.