Q 2076. Kya dua mein ambiya aur awliya ke wasile se dua maangna jaiz hai?


Quest code (2076)

Kya farmate hai Muftiyaan e kiram is masle mein ki Zaid ye dawa karta hai ki Dua mein Ambiya wa Awliya ke sadqe ya wasile se maangna jaiz nahi hai. Dua ibadat hai aur dua ke andar jo wasila hai woh sirf 3 cheezo ka hadith se sabit hai. Teen se zyada sabit nahi hai. Aur jo ibadaat hoti hai us mein sabit hone ki daleel chahiye hoti hai Nafi ki nahi. Yaani kaha mana kiya gaya hai ye aiteraaz nahi kar sakte kyuki kaha mana kiya gaya wali baat aayegi to phir bohot se aise kaam hai jis se mana nahi kiya gaya jaise maslan fajr ki 4 rakat kaha mana kiya hai, 1 rakat mein 5 sajde kaha mana kiya gaya hai..?

Ibadaat ke andar karne ki daleel chahiye. Dua ke andar sirf 3 wasile jaiz hai.
1.Allah ke naam aur sifat ka wasila,
2. insaan apne nek aamaal ka
3. ya kisi se dua karwaye.

Iske alawa ambiya wa wali ka najaiz hai.

Kya zaid ka ye dawa durust hai?

Jawaab mudallal ataa farmaye.

Posted in Ask ARC Mufti.