Quest code (431)
Assalamu alaikum.
Allah tabarak wa taala se aapke khairiyat ki ummid hai.
Baraye meherbaani is masle me hamari rahnumai karen :
Maahol ya committee ke logon ko khush rakhne ya apni rozi-roti bachane ke liye sunni ladki ka nikah Deobandi-wahabi ke sath padhaya jana kis had tak jaaez hai? Hamare elaaqe me purkhon se ristedari chali aa rahi hai, jabki logon ka badmazhab ki taraf dhalna 15/20 saal se zor Pakda hai. “Mein nahin padhaunga to koi aur padha dega. ” Qaazi saheb se puchne par is tarah ka jawab dena kaisa hai ? Agar tauba laazmee hai to khufia tauba ya elania ?
Bararahe kara hamari uljhan dur karen
Allah aapko apne naik bandon ke tufail azr azeem ataa farmaaye.