Q 470. Agar koi Apne bank mein rakhe huwe paise ka malik kisi ko banaye magar uske naam par account na karwaye to kya woh us paise ka malik ban jaayega?

Quest code (470)

Hazrat

1. Agar kisi shaks ke bank account me kuch laakh rupae hain aur wo kisi dusre shaks se yani misal ke taur pe apne bete ya bhai se yun kahe ki maine apni ye daulat kul akhtiyar se apko de di , lekin abhi paise us shaks ke hi account me pade hain , to ab kya uska bhai ya beta us maal ka maalik ban gaya ya nahi , zara tafseel se bata dijiye ki kis tarah is maal ka (jo bank me pada hua hai) kisi aur ko maalik banaya ja sakta hai.

2. Aur dusra sawal ye ki agar yahi paisa bank account me na hokar zameen k niche gada hua hota aur wo yehi kehta ki maine is maal ka maalik tujhe banaya to ab kya dusra banda us maal ka maalik ban jata ya nahi ?

Er. Iftikhar

Posted in Ask ARC Mufti.