Q 557. Bagir walidain ki ijazat ke agar nikah kar liya aur phir se nikah karna hai to kya kare?

Quest code (557)

Assalamu alaikum

Mera yeh sawaal hai.

Ek ladka aur ladki (dono ka qabila khan hai) ne apne walidain ko bina bataye jald baazi me sirf nikah kar liye hai. Unka nikah karne ka maqsad deen ki khidmat karne se tha. Abhi tak yeh nikah ki baat ziyada logo ko pata nahi hai. Nikah ke baad dono kay bich mein koi sohbat nahi huwi hai. Unka nikah karna nafs ke liye nahi tha. Abhi unhe ek aalim ne bataya ki maa baap ko naraz karne wali cheez har nek kaam kharab karti hai. Agar yeh abhi kisi ko pata chalega toh un dono ke character par sawaal uthega. yeh dono nikah khatam karna chahte hai. Aur niyat yeh hai ki kuch saal baat ailania taur par nikah maa baap ki reza ke sath karne ki koshish karege insha Allah. Huzoor rehnumai farmaye.

Posted in Ask ARC Mufti.