Q 606. Huzoor Gaus e Aazam رضي الله تعالى عنه ko Imam ul Awliya kaha jata hai to kya Saare Ambiya wa Sahaba ke bhi Imam huwe?

Quest code (606)

Assalamu alaikum
Huzur Aapki khidmat main arz hai ke kya farmate hai ulmaye kiraam ke Huzur Sayyeduna peere peeran meere meeran khindile noorani mahboob e subhani Gouse e azam jilani radiallahu an ko imamul auliya kaha jata hai
to sawal ye hai ke gouse azam radiallahu an kin kin auliya e kiram ke imam hai masalan Adam alayhisalam se lakar qayamat tak aane wale tamam auliya hain ya phir Huzur Sayyeduna Gause Aazam ke baad ke Auliya e Kiraam hai aur ye bhi bata dijiye ke kya imamul auliya taba”een aur tab’tabeen ke bhi Imam hain

Faqat aapka faqeer
Sayed Muhammad

Posted in Ask ARC Mufti.