Q 740. Kya partnership business mein ek partner paise invest kare aur dusra sirf working partner ho to jaiz hai? Aur dono mein profit loss kaise taqseem kiya jaayega?

Quest code (740)

Sawal:
Kya farmate hai Muftiyaan e kiram is masle mein ki
Partnership Business mein 2 shakhs 60:40 ke profit & loss ratio ke hisaab se partner hai. Magar ek partner ne paise invest kiye hai aur dusre ne nahi kiye. Dusra sirf working partner hai.
Sawal ye hai ki jisne paise lagaye hai woh kaam bhi karta hai aur dusra sirf mehnat karta hai magar uske koi paise nahi lage hai. Ab profit hoga to dono ko paise milege magar loss hoga to jisne paise lagaye hai usko to paise se bhi nuksaan hoga aur waqat aur mehnat mein nuksaan hoga aur jisne paise nahi lagaye hai usko sirf ek gunah nuksaan hoga.

Kya is tarah ki partnership sahih hai?

Posted in Ask ARC Mufti.