Q 869. Shariat mein 786 ki haqeeqat kya hai?

Quest code (869)

*786 Ki Haqeeqat*
.
Dar-haqikat 786 Ke Kayi Maaney Hotey Hai.. Dour-e-Jahalat Me Arbo Me Ek Tareeka Hua Karta Tha Jisey “Abjad” Kahte Hai .. Ismey Arbi Ke Alfazo Me Kuch Numbers Lagatey They, Jaise Misaal Ke Taur Par Alif = 1, Ba = 2 …
Inn Gintiyon Ko Milakar Yeh Log Faal Khola Karte They..
Jaise Misal Ke Tour Par Aapka Naam hai Faiz, Ismey ‘Fa’, ‘Ye’, ‘Jwad’ Tou Inki Value of Numbering Ki Calculation Karke Total Number Nikaltey .. Aur Chittiyo Ko Mod Detey Aur Kehte Likho Koi Ek Number, Agar Yeh Dono Mil Gaye Tou Tumhara Kaam Ho Jayega. IskoFaal KholnaBoltey Hai ,. Jo Ke Dour-e-Jahalat Ka Abjad Tareeka, Aur Shariyat Ne Iss Cheez Ko Haraam Karar Diya ..
*Ab Logo Ne Abjad Ke Aitbaar Se Ye Matlab Nikala Ke 786 Ka Meaning ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim‘ Hota Hai,
Lekin 786 Ka Matlab Sirf ‘Bismillah-Hirrahman-Nirrahim’ Nahi Hota Yeh Baat Tou Tay Hai ..
– kyu Ke Bohot Se Majahib Me Bhi 786 Ka Bada Akida Hai .. Usko Bhi Bada Respect Diya Jata Hai..
• Ab Shariyat-e-Islamiya Me Iska Istemal Kaisa ?
Sabse Pahli Baat Shariyat Me Aisi Shortcuts Ka Matlab Biddat(Sharayi Biddat) Hai,
Aur Sharariyat me Naya Akida ijad karne Ke Talluk Se Hum Sab Jante Hai hai ke“Qullu Biddatun Zalala”Yaani Deen me Ijad kiya Hua Har Naya Akida Gumrahi hai.. aur Har Gumarhi ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai …

Assaslaamu alaykum Kya yeh massage ka matlab sahi hai ya galat jawab do plz

Posted in Ask ARC Mufti.