Quest code (223)
Har mahine ki pehli aur chaand ki 15vi raat aur mahinay ki aakhri raat may humbistari nahi karni chahiye. Kyu ki in raato may shayaatin humbistari ke waqt haazir hotay hay aur baaz ye kehtay hay ki shayaatin in raato may humbistari kartay hay
Hawalaa: Kimiyaa a sa’aadat,Page 266;
Kuwat ul kulub, Jild 2,Page 489
Haftaa (shanichar) Aur
Itwaar, Mangal Aur Budh
Ki darmiyani raato may
Humbistari karnay say bachnaa chahiye. Kyu ki in raato may humbistari karnay say agar hamal thaher jaaye to bachcha
Bay hayaa, Bad nasib, Muflis, Haris Paidaa honay ke imqanaat hay.
Hawalaa📗Sunni bahasti zevar
Page 449
Mufti sahib ki bargaah may suwaal hay ki
Zaid ki awlaad ke masalay ko laykar dr. Usay har mahinay may 4 din khaas humbistari k liye kehtay hay aur dawaayi bhi daitay hay
Lekin zaid agar uper batayi gayi baat ko maan kar chaltaa hay to mahinay k 4 din apni biwi say humbistari nahi kar pataa aur sirf dono miyaa biwi dawaa letay hay. Milaap nahi kartay
Aur abhi tak aulaad ke talabgaar hay
Kyaa karay ?
Uper diye gaye hawAlay ki bhi wazzhat farmaye.
Aur shariat ki roshni may rehnumayi farmaye.
Ejaz
Ahmedabad