Q 498. Ghar mein Quran rakha tha aur uske kaagaz ko agar chuhe (Rat) kha jaaye to Kya kaffara dena hoga aur nahi to ab kya kare?

Quest code (498)

Assalamu alaikum Mufti Sahab

Hamare Makan ke Ek kamre ke chajja par Qurane Paak ki Qadeem (purani) tafseer rakhi huwi thi Jo plastic ke bag me thi lekin aaj Makan change karte waqt dekha Gaya hai ki uss plastic ke bag ko chuho (Rat) ne kant kar uspar gandagi ki Hai ab Hamare liye uska kaffara Hoga ya Nahi aur hum Usse Kaha rakhe ya uska kya kare,

Jazak Allah

Posted in Ask ARC Mufti.